Thursday, May 2, 2019

Blogging Kaise Kare

 Blogging kaise kare


Kya aapne Google me Blogging kaise kare in hindi ya fir blogging ki puri jankari hindi me search kiya hai ya fir janna chate he to aap ek dum right post me hai kyunki aaj mai aapko blogging ko kaise kare ki puri jankari hindi me seekhaunga jo aapko bahut hi labdayak hogi.
Humare yaha par bahut se hindi bloggers hai jo blogging karna to chate hai par unko sahi guidance nahi mil pa rahi hai aur wo kuch galat tarike se apna blogging career start kar rahe hai. Aisa karne se aap na to ek successful blogger ban paoge balki aap bahut jaldi nirash hokar blogging ko chod doge jo mai bilkul bhi nahi chata hu.
Blogging ek bahut hi wonderful cheez hai isse aapko bahut sare freedom milegi life mai jo aap soch bhi nahi sakte. Aap jab chahe blogging start kar sakte hai aur ye bahut hi assan hai aur mai apko wo sare tips and tricks share karunga jissi aapko ek successful blog banane me jarurat hogi.
Blogging banane ke liye tips:

1.Good Topic


  • Sabse se pehle aapko ye decide karna hai ki apne blog ke liye koi accha topic dundhna hoga kyunki ye bahut jaruri hai bina acche topic ke aapke blog ko jyada traffic nahi mil payega aur aap nirash ho jaoge.
  • Acche topic ko choose karne ke liye aapko ek niche ko decide karna hoga jiss par aap saalo saal bina bor hua likh sakte hai kyunki maine bahut se hindi bloggers ko dekha hai jo bina soche samjhe blog topic dundh kar blogging karne lag jate hai.
  • Ye bilkul galat tarika hoga blogging karne ka kyunki agar aapko us topic me jyada information nahi hai to aap quality content nahi likh payenge aur agar aap quality content nahi likhenge to aapko Google acchi ranking nahi dega ye to pacca hai.
  • Aaj ke time me Google quality content ko bahut jyada value deta hai. Aap mera yakeen kare agar mai aapko proper example do quality content ka to issi blog ko dekh le mera ek bhi post 1000 words ke niche nahi hota aur ek hi month me mera blog mere main keyword blogging tips hindi ke liye first page me rank karna shuru ho gaya hai bina ek bhi backlink ya koi bhi extra promotion ke.
  • Aur agar mai thodi sa promotion kar du to kuch hi mehne mai ye blog number 1 postion me ajayega. To friends aap jo bhi topic ya niche me blogging karna chahte hai yaad rakheye ki aapko uss topic ka bahut accha knowledge hona chahiye tabhi aap quality content likh paoge.
  • Passion ya hobby follow kare

    1. Quality content ke saath saath apne topic me dil se passion hona bhi bahut jaruri hai kyunki agar aapko apne topic mai dil se passion aur interest nahi hoga to mai 200% aapse dawa karta hu ki aap quality content nahi likh payenge.
    2. Quality content to door ki baat hai aap ek ya do month me hai bor hokar blogging ko chod denge ye mera dawa hai aur mera personal experience bhi hai.
    3. Maine bahaut se naye bloggers ko dekha hai jo dusro ki dwara apanaya gaya topic choose karte hai kyunki who soochte hai ki agar wo blogger is topic me blogging karke itne paise kama raha hai to mai bhi yehi topic choose karta hu.
    4. Par dosto ye bahut badi galti hai, us blogger ne who topic is liye choose kiya hai kyunki usko us topic me bahut knowledge hai aur dil ye passionate bhi hai. Aur agar who bahut paise kama raha hai to ye sirf uska topic me interest aur passion ki wajah se possible ho paya hai.
    5. Bahut se bloggers kehte hai ki jis topic me paise hai who hi topic me blogging karo par mera ye kehna hai ki ye baat galat hai me to kahunga ki jis topic me aapko dil se passion, hobby ya interest ho who aapke liye sabse best topic hai aur ussi me apko blogging karna chahiye aur koi dusra topic na select kare.
    6. Agar koi kehta hai ki aapne galat topic choose kiya hai to uski baat ko bilkul bhi mat suno who aapko galat salah derahe hai. Dekho dosto agar apko apne topic me bahut jyada interest hoga to aap kabhi bhi blogging se bor nahi honge aur aap saalo saal blogging kar sakte hai aur ye bahut hi jaruri hai.
    7. Google long term blogs ko bahut jyada like karta hai aur ek authority blog ko bahut acchi ranking milti hai Google mai. To mai aapke recommend karunga ki apne passion ko follow kare paise ko nahi, paise aapke paas bekshah apne aap ajayenge.
    8. Good Domain name

      1. Ab ata hai domain name, domain name apke website ya blog ke naam ko darshata hai jo koi bhi apne browser mai type karke apke blog ya website ko open kar sakta hai. Jaise ki bloggingtipshindi.com ye ek domain name hai.
      2. Aapko apna domain name bahut hi dhyaan se select karna hoga kyunki agar apne wrong domain name choose kiya to aapko bahut si dikkat ka samna karna pad sakta hai.
      3. Domian name chota aur aapke blog topic ko acchi tarah se darshana chahiye. Domain name aapke blog ki topic ko acche se describe karna chahiye.
      4. Jaise ki mera blog domain name hai bloggingtipshindi.com to is domain name ko koi bhi dekh kar bol sakta hai ki mera blog kis topic par hai.
      5. Magar ye jaruri nahi hai kyunki aaj kaal Google brand names pe jyada dhyaan deti hai. Dosto ko hard and fast rule nahi hai keyword wale domain name me ya fir branded domain name me.
      6. Fark bas itna hai ki aap apna content kaise likhte ho aur who kitna high quality ka hai. Agar aapka content high quality ka hai to aap bhahut acchi ranking haasil kar sakte hai.
      7. Free Blog Vs Paid Blog

        1. Dosto is point ko bilkul dhyaan se padhna kyunki ye decide karega ki aap successful blogger banoge ki nahi. Dekho aap ko blog banane ke 2 option hai.
        2. Pehla to free blog aur dusra paid blog yani self hosted wordpress blog. Mai to paid blog yani self hosted WordPress blog recommend karunga kyunki issme aapko bahut se who options or controls milenge jo free blogs mai bilkul bhi nahi hoti.
        3. Free blog ka sabse bada nuksaan ye hai ki aapka blog kabhi bhi delete ho sakta hai aur aapki mehnat puri paani me dubh jayegi kyunk free blog aapko koi bhi guarantee nahi deti wo bina kisi warning ke aapka blog ko delte kar denge ye mere saath kudh hua hai.
        4. Aur uss din ke baad se maine decide kiya ki free blogging platform jaise ki blogger.com ya wordpress.com pe kabhi bhi free blog nahi banunga.
        5. Me to apko recommend karunga ki koi acchi web hosting lekar aapna kudh ka self hosted wordpress blog start kare kyunki ye blog paid hoga aur paise bhi bahut hi kaam hai pure saal ke liye.
        6. Dekho dosto agar aapko koi bhi business karna hai aur usme successful hona hai to aapko us business ko start karne me to thoda paise lagana hi padta hai na to agar aapko ek successful blogger banna hai to aapko apne blogging business me bhi thoda ya invest karna hoga jo ki na ke barabar hai aur koi bhi afford kar sakta hai.
        7. Do ek baat ma yaha par share karna chaunga ki wordpress.com aur wordpress.org ye do alag alag platform hai. WordPress.com me free blog bannta hai aur wordpress.org me paid blog aur apko wordpress.org ka self hosted blog banana hai na ki wordpress.com ka free blog.
        8. Agli point me saab clear ho jayega aur ek baar mai phir se kahunga ki apna kudh ka self hosted wordpress blog hi banaye agar aapko ek successful blogger bankar bahut sare paise kamana hai to.
      8. Acchi Web Hosting

        • Domain name ke baad ata hai Acchi web hosting. Web hosting me aap apne blog ki files store karte hai aur aapke readers apke files yani blog ko kahi se bhi open karke padh sakte hai.
        • Bahut se bloggers bekar ki web hosting company select karte hai aur phir baad me bait ke pachtate hai aur phir unke blog jyadatar down rehte hai aur ye SEO ke jariye aur Google bilkul bhi like nahi karta hai aur aapke ranking bahut down ho jayegi to mai ye aap please ye galti mat karna aur low quality ki web hosting choose karna
        • Waise to bahut si web hosting companies hai par mai jo personally perfer karta hu wo hai bluehost hosting kyunki bluehost world ki sabse top web hosting company hai.
        • Bahut se bade bade bloggers bluehost ko apne readers ko suggest karte hai to me bhi aapse yehi kahunga ki agar aap apne blog ya website ke liye sabse best web hosting lena chahte hai to aap bluehost se le
        • Aap is tutorial ko follow karke asani se hosting kharid sakte hai aur apna blog bana sakte hai  – WordPress par blog kaise banaye
      9. Regular Blogging

        • Dosto successful blog banane ke liye apko regular blogging karna bahut hi jaruri hai kyunki regular blogging bahut jaruri hai. Maine bahut se naya blogger ko dekha hai jo josh me aakar blogging to start kar lete hai par phir fail hojate hai.
        • Isska sabse bada karan hai ki wo bloggers regular blogging nahi karte hai aur to aur maine aisa bhi dekha hai ki starting me wo to din me 4 to 5 blog post publish kardete hai pir uske baad mehno tak koi blog post nahi karte.
        • Ye bahut hi galat technique hi blogging karne ki aur aap aisa karke aap bilkul bi blogging me successful nahi ban sakte.
        • Aapko regular yani niyamit roop se rooz ek na ek to blog post dalna hi hoga apne naye blog me phir jab aapka blog thoda hit hojayega tab aap hafte me 1 ya 2 blog post likh sakte hai.
        • Ye koi rule nahi hai ki aapko kitna blog post likhna hai ek din me ya ek hafte me aapko decide karna hai ki mai kya niyamit roop se kar sakta hu. Agar aap rozana 1 post kar sakte hai who to best hai par agar aap agar after me 1 post karte hai to issme bhi koi problem nahi hai par aapko ye baat dhyaan rakhna hai ki jo bhi post frequency aap apna rahe hai usse regular follow kare.
        • Google adsense se paise kaise kamaye
      10. Logo Ki Problem Solve Kare

        • Yeh to main kahunga ki best totka hai successful blogging karne ka aur yadi aap apne readers ki genuine help karoge apne blog post ke jariye to aap dekhna ki kitni jaldi apka blog successful ban jayega aur aapko pata bhi nahi chalega.
        • Aapka blog topic kuch bhi ho aapko apne readers ki problem ko dhundna hoga aur usko apne blog post ke madhyam se solve karna hoga.
        • Fir dekhna aapka blog ki traffic badh jayegi aur aapke readers aapke blog ko rooz open karegnge aur share bhi karenge.
        • Dosto ye bahut hi simple formula hai successful blogging karne ka aur agar aap is cheez ko sahi dhang se karenge to dekhna kitni jaldi aap ek successful blogger ban jaoge.
      11. Faltu Ke post Na likhe

        • Ye galti maine apne main blog bloggingtipsandtricks.com ke starting ke dinno me ki thi par mujhe isska bilkul bhi affsos nahi hai kyunki starting me to har koi galti karta hai aur apne galti se hi to seekhta hai. Us time mujhe koi guide karne wala nahi tha aur mujhe jyada blogging ki jankari bhi nahi thi.
        • Par aaj 5 saal baad mujhe sab kuch pata hai aur kya kaam karta hai. Dosto faltu ki post na likhe isse aapko koi be fayda nahi hoga aur Google bhi apko low quality ke karan acchi ranking nahi dega.
        • Us time me mera bas yehi focus that ki apni post count ko kaise badhau aur jyada se jyada post likhu aue ye meri sabse badhi galti thi. Maine to un saab post ko delete bhi kar diya hai.
        • Kya hua faltu or low quality ke post likhke time waste aur kuch nahi par mai nahi chata ki ye galti aap bhi kare. To faltu ke post na likhe aur jo useful aur aapke readers ko help karegi wo hi post likhe apne blog me.
      12. SEO Sikhe

        • SEO ka matlab hota hai Search engine optimization ye seekhna aapke liye bahut hi jaruri hoga aur SEO ki help se apne blog ki ranking google me bahut badha sakte hai.
        • SEO seekhne ki liye aapko paise kharch karne ki koi jarurat nahi hai maine ek post likha hai jo aapko sare SEO tips and tricks hindi me sikhaega aur ane wale time me bahut se acche SEO sambadhit post likhunga to aap mujhe follow karte rahe.
        • Sach karu to bina SEO kare aap jyada acchi ranking Google ya anya search engines mai panahi sakenge. Kyunki apke pratidwandi SEO ko bahut seriously lete hai aur ghanto naye SEO tips and tricks sekhne me time lagate hai.
        • To mai bhi aapse request karunga ki niche diye gaye post ko dhyan se padhe aur isse apne blog me apply kare aur dekhna aapko bahut hi positive results milega.
        • Maine bahut se naye hindi bloggers ko dekha hai jo bina thodi si bhi basic SEO kare hi apna blog post publish kar dete hai aur phir baad mai bolte hai ki ko traffic nahi araha he.
        • Aur sach bataunga to ayega hi kaise agar apko apne website ki traffic badhani hai to apko basic SEO ki jankari leni hi hogi aur aapke kaam ko aur bhi aasan karne ke liye niche diye gaye post ko dhyaan se padhe
        • SEO tips and tricks in Hindi
        • SEO Kya Hai
      13. Professional Theme

        • Aapko apne blog ke liye ek professional theme search karna hoga kyunki jab tak aapka blog professional nahi lagega tab tak aapke readers aapko ek professional blogger ke roop me nahi manenge.
        • Mai ye nahi kehta ki ek dum costly aur mehange theme par jo bhi theme aap apne blog ke liye select karenge make sure who clean aur light weight theme ho taki aapka blog Google me acchi ranking haasil kar le.
        • Aabhi mai apne is blog ke liye acchi theme dundne me laga pada hu aur jaise hi mujhe koi acchi paid them mil jayegi mai usdin iska theme change kar dunga.
        • Yaad rakna ki baar baar theme change karna bhi acchi baat nahi hoti isse aapke SEO par affect padta hai. To agar apne abhi taak koi professional theme nahi use ki hai to aap thoda aur time leke bahut acche se sochne ke baad theme le.
      14. Blog Design Clean Rakhhe

        • Ye jo galti hai wo aksaar naye hindi bloggers karte hai jo ki bilkul hi galat hai. Mai unse ye request karunga ki aap apne blog design ko clean rakkhe kyunki maine dekha hai ki bahut se new bloggers apne blog me bahut se altu faltu cheeje dalte hai jisse unke blog loading time me bahut farak padta hai.
        • Useless widgets ko apne sidebar se delete karde jisska koi use nahi hai aur jaha tak ho paye apne blog ke desing ko clean rakkhne ki kosish kare.
        • Neat and clean blog appke readers ko bahut accha lagega aur aapke readers ka user experience bhi bahut accha hoga aur wo lagata aapke blog ko visit karenge.
      15. Jyada Plugins Na Install Kare

        1. Hum mante hai ki WordPress mai bahut se plugins hai jo aapke blog ko bahut hi powerful bana denge aur mai bhi wordpress plugins ko bahut like karta hu aur maine bhi kuch plugins apne blog me use kiya hai.
        2. Par starting mai maine bahut galti ki thi jaise ki mai bahut sare plugins download karta that aur jyada se jyada functionality aapne blog me lane ki kosish karta tha.
        3. Lekin isa karna bahut galat tarika hai kyunki jarurat se jyada koi bhi cheez nuksandayak hoti hai aur agar aap bhi ye galti kar rahe hai to please isse stop karde aur utne hi plugins download kare jo bahut hi important ho.
        4. Agar koi plugin aapko nahi chahiye to us plugin ko delete kar do aur deactivate na chode. Ye aapka web hosting ki space khati hai to jo bhi plugin aapko use na karna ho to use turant hi delete karde.
        5. Isse apke wordpress blog ki loading speed to increase hogi saath hi saath apke blog ki ranking bhi bahut acchi ho jayagi. Halaki ye cheez Google ranking me bahut jyada matter to nahi karti par aapke blog loading pe jarur iska aham role hota hai.
      16. Blog Promotion

        • Jaisa ki maine bataya ki quality content kitna jaruri hai, yes bahut hi jaruri hai par aapko niyamit tarike se apne blog ko promote karna hoga kyunki agar aap sahi tarike se promote nahi karenge to aapko bahut kaam traffic milega.
        • Ye to aur bhi jaruri ho jata hai jab aapka blog naya ho kyunki mujhe pata hai ki naye blogs pe jyada traffic nahi hota kyunki starting me unki ranking bahut kam hoti hai aur post bhi jyada nahi hote.
        • To jo koi bhi post aap apne blog me publish karenge usse jaruur social media sites jaise ki Facebook, Twitter, Google plus aur dusre social media sites par jaruur share kare. Aisa karne se aapko referral traffic milega aur naye readers bhi.
        • Kya aapko pata hai ki Google social signals ko bhi ranking signal manta hai to agar aap sirf quality content likh rahe hai aur usse social media sites par share nahi kar rahe to aap bahut hi badi galti kar rahe hai. Aap bahut traffic aur backlinks lose kar rahe hai friends.
        • To jab kabhi bhi aap apne blog me koi bhi blog post publish kare to please use social media sites me publish jarur kare. Mai janta hu ki ye time consuming hai par agar aapko jyada traffic, rankings aur backlinks chahiye to aapko share karna hi hoga.
      17. Social Media Par Active Rahe

        • Chaliye aap apne blog post ko share bhi karte honge social media sites par ye to good hai par kya aap apne readers ke saath discussion karte hai blogging ke bare mai. nahi na? To aapko ye galti sudharni hogi.
        • Sirf apne blog post ko share karne se aapki social following nahi badhige. Isske liye aapko apne social meida accounts par active rehna hoga. Mai ye nahi kehta ki aap pure din social media sites me lage rahe par 1 ya 2 din me jarur apne social media accounts par login kare aur naye followers banane ki kosish kare.
        • Naye followers banane ke liye aapko apne readers se baat karni hogi, social media account me unki help karni hogi tabhi aapke social following badeghi.
        • Agar aapka blogging karke paise kamane ka irada hai aur bahutoka jyadatar hota hai to ye point to seriously lena kyunki advertisers social following ko importance dete hai.
        • Aab aap kehange ki yaha to bahut sare social media sites hai mai kin kin ko follow karo? To iska bhi me aapko solution deta hu, ye jaruri nahi hai ki aap har ek social media mai active raho par Facebook, twitter aur Google plus ye aise 3 social media sites hai jinpe me aapko salah dunga ki aap jarur active rahe. In sites se apko bahut sara referral traffic milega.
      18. Copy Paste Na Kare

        • Ye sabse badi mistake he jo 95% new bloggers karte hai aur mai aapse juth nahi bolunga maine bhi starting me aisa hi kiya that par baad me jakaar pata chala ki copy paste karne se kuch faida nahi hota hai balki aapki blog ya website ki ranking aur bhi kam ho jati he.
        • Aisa bhi hota hai ki aap ne pura blog ki koi famous blogger ki blog post ko copy paste karke banaya hai to aapke blog ko Google puri tarah se de index yani search engine se hata dega.
        • To meri aap se ye request hai ki aap please dusro ki blog post ko copy aur paste na kare aur apna original quality content hi publish kare aur yehi sahi tarika ha blogging karne ka.
        • Dosto ek time tha jab aap copy paste karke asaani se bach jate the wo time tha 2012 se pehle par uske baad Google itna smart ho gaya he ki kya bataye. Ab aap chahe kitni bhi chalaki se copy paste karenge par anth me Google apko pakad lega aur apko penalize kar dega.
      19. Apna Visitors Se Juth Mat Bolo

        • Yadi aap mujhse puchenge ki successful blog banane ke liye sabse best tips kya hai to ye hai ki aap humesha apne blog readers ke saath honest raho aur unse kabhi bhi juth mat bolo. Kyunki achi reputation banane me bahut time lag jata hai aur ek minute lagta hai us reputation ko gawane me.
        • Maine aise kai hindi bloggers dekhe hai jinhone juth bol kar khaskarke income reports mai unka naam nahi lunga par aaj ke time mai who kafi successful bhi hai par aisa kabhi bhi nahi karna chahiye.
        • Kyunki aapke readers aap pe bharosa karte hai agar aap hi unlogo ko galat rasta dikhaoge to kaise chalega. Maine to is blog ke about page me isske bare mai likha hai ki mere bloggingtipshindi.com ko start karne ka maksat yehi hai ki mai apne readers ke saath kabhi bhi fake income reports nahi share karunga aur unko humesha sahi guidance dunga.
        • Kyunki tabhi mai is blog ko successful ban paunga. To dosto humesha sach bolna aur popularity pane ke liye fake income reports ka sahara mat lena. Kyunki kehte hai na ki chor ki chori ek na ek din jaruur pakdi jaati hai phir chahe aap kitni bhi chaligi se fake income reports na bano.
        • Mujhe iske bare me dhyan nahi that tab maine achhiprerna.com pe iske bare mai padha to dang reh gaya par dosto aap aisa bilkul bhi mat karna

No comments:

Post a Comment